Main Bura hu..Mujhe Bura hi rehne do
Saalo lag gaye khud ko pehchanne me
Tum logo ki jhoothi duniya se Bahar aane me
Tum logo ke Bich aane se darta tha
Dur tum sabse reh saku
Isiliye saara din aana- Kani karta tha
Kiya zindagi bhar tum sabke plan cancel
Meri tutalati jawan pe tum log na haso isi baat ki hoti thi Sara din mujhe tension
Tum kaho ya samaj ko kehne do
Main bura hu...mujhe bura hi rehne do
Zimedariyo me bhula Mai bachpan
Tum logo ke saath khelne ka karta tha Mera mann
Mere apne kabhi nahi samjh paye mera rona
Tum logo se thi umeed....tum to mere aanshu dekh Kar mujhse kuch kaho na..
Mere kisi dost ne mujhko na samjha
Sab kehne lage khudgarz kahi ka
Ab to Meri duniya me bhi duniya basane laga hu
Purani mastiya Kar ke muskurane laga hu
Ab to Tum kaho ya samaj ko kehne do
Main bura hu....mujhe bura hi rehne do..
Paaye the kuch naye
Socha ye zindagi jeena sikhayege
Ab to aise Jahan me inke saath aa gaya hu
Samjh hi nahi aata yaha Mai hu Naya ya ye naye
Khudgarzi ke maidan par sabne apne Ghar banaye hai
Kisi ke saath rehne ke liye na mere pass kiraye hai
Yaha to sab apne Matlab ke liye sirf rishte nibhaye hai
Chala Gaya Jo Mai inke jahan se
Mujhe pata chale Bina hi ye mujhko khudgarz bulate hai
Tum sabki duniya Mai jeena mujhe aata nahi
Khud kone me baha lu aanshu
Tum sabko Rulana mujhe aata nahi
Mujhe koi taklif nahi Jo agar Mai tum sabko bhata nahi
Chod chala hai ye duniya ye tumhara dikhawa
Nahi hoga mujhe kabhi is baat ka pachtawa
Ab to tum kaho ya samaj ko kehne do
Main Bura hu....mujhe bura hi rehne do..
©ajaygupta