Halaat phir se waise ho rahe hai
Na chah ke bhi hum kho rahe hai
Nazdeek hai phir bhi dooriyan nazar aai hai
Kismat ne aaj phir karwat khai hai
Rukh badal raha hai humare rishte ka
Is bar to sajdo ne bhi Judaai dikhai hai
Ab aur nahi ho raha anjaam ka intezar
Lakeeron ne to phele hi har manai hai
©kanikakanwal
-
kanikakanwal 1w
-
kanikakanwal 2w
Jo kal the vo aaj kyu nahi
Jo beet gaya vo sath kyu nahi
Zindagi me saanse kuch baki si hai
Par Jeene ka ab ehsaas kyu nahi
©kanikakanwal -
kanikakanwal 3w
Vo teri khushi Vo pheli hasi
Tera muskurana aur mera sharma jana
Hayee vo Teri adayein
kitni baar hum jaan lutaye
Mere hath ka tere hath me sama jana
Vo Shaam ka bus wahi dhal jana
Aankhon me kho ke teri Puri sadiya jee na
Matha chum ke mera phir mujhe aaj me bulana
Baithe baithe teri baaton me kho jana
Waqt dekh ke ek baar tera phir muskurana
Tera vo Har lamho ko mujhe yaad dilana
Mano ek sundar se sapne me mujhe le jana
©kanikakanwal -
kanikakanwal 3w
Humari baaton ke to hazaron deewane hai
Khamoshi me samjh Jaye koi aisa chaiye
Wade to aksar log need me bhi kar dete hai
Un Wadon ko koi Nashe me nibhaye bus aisa koi chaiye
Band kamre me to sab mohabbat Zahir karte hai
Seena thok ke Izhar kare mohbbat ka bus aisa koi chaiye
Kuch Saalon ke liye to Kai log aate hai zindagi me
Koi ta Umar sath nibhaye bus aisa koi chaiye
©kanikakanwal -
kanikakanwal 3w
Jaam pe Jaam Jaam pe naam
Phir ek Jaam jispe tera naam
©kanikakanwal -
kanikakanwal 3w
Pyar ka phele izhar karoge
Humari Ha ka intezar karoge
Aitbaar jo kiya tum pe
Mohabbat ka apni paigaam bharoge
Kuch dino tak sapne dikhaoge
Sab kuch alag alag sa lagvaoge
Ek dusre me kho Jayenge jab
Phir tum asal duniya me laoge
Waqt thoda kam nikaloge
Baato me bhi narazgi jhalkaoge
Dheere dheere karke dur humse tum jaoge
Kuch cheeze bhi tum chipaoge
Har baat pe tum chillaoge
Kabhi Jhuthi tasalli doge
Kabhi bebuniyad waade nibhaoge
Ek modh pe aake tum har man jaoge
Aakhir me jake pyar karna hi bhul jaoge
©kanikakanwal -
kanikakanwal 9w
Uljhi uljhi reheti thi jo dur khayalon me
Milne pe tere se sulajh gayi Kai sawalon me
Tere pyar ka jaadu hai ya tere hone ki khushi
Mai to bus muskurati rahi inhi khayalon me
Tujhe khone ka tujhse dur jane ka Dar bhi tha dil me
Par is bar koi bhi bahana na mana is buzdil ne
©kanikakanwal -
kanikakanwal 9w
Ek bar phir tujh pe pyar aaya hai
Tere dur jane se tera didar aaya hai
Kat raha hai waqt bus ye soch ke
Milne ka phir ek bar khayal aaya hai
©kanikakanwal -
kanikakanwal 10w
Vo khili hui dastan ki tarha
Mai har vo mukkam ki tarha
Hasil karu tujhe ya Jane du koi anjaan ki tarah
Kabhi dekh liya kar ek jhalak is nacheez ko
Marta hai tere pe ye ek gulam ki tarah
©kanikakanwal -
kanikakanwal 13w
Khuda hume barbaad kar de
Bus tere ishq me aabad kar de
Khawahishe zayada nahi hai meri
Bus is zindagi me tere sath kar de
©kanikakanwal
