Bhaag Daud.
Aye zindagi kaha daud chala?
Dekh zara apne hi daud mein kahi khudse toh aage nahi nikal gaya tha?
Soch zara, aage mushoorta ka pedh ho ya na ho par jo patjhad the,
pyaar ke, insaniyat ke, yaadein aur tazurbein,
unhe toh uthakar le jaata
Sambhal zara, jebo mein muft ki salahon ko bharkar gir raha tha tu,
jaane anjaane, chahe anchahe,
khudki awaaz ko bhul raha tha
Zara dewaar pe tangi ghadi ki tarah ban,
kabhi kabhi samay ke saath rukh bhi jaati hein, phirse chalne ke liye
Aye zindagi pehle chalna seekh le, phir daudna!
- T.S.
-
kairos_ 149w
Oh I see why! *grins*