Tune jo na kaha mai wo sunta raha
Khamakha bewajah khaab bunta raha !!
Β©_the_nightmare
-
_the_nightmare 20w
Mujhe neend se koi shikayat nahi
Ye youhi aj kal roothi roothi si hai
Baat jab mehfilo mein
tumhari Hoti hai
Toh mai chup sa ho jata hoon
Wo yaadein wo bitayae lamhe
Mai khud ko sunata hoon
Youh toh koi gila nahi Ab har nazm
tera kissa Gungunati hai
Raaton ko ye mere kano mein
Teri awaaz sii goonj jati hai
Yaad aya karunga mai
Jab talaash kisi apne ka karoge
Ki laparwah sa insaan
Teri kitni parwah karta thaa
Jo wada sath rehne ka thaa
Wo wada teri yaadon ne
Bakhoob nibha diya
youh toh har manzar tere sath
Bitane ka dekha thaa maine
Wo manzar bhi tmne
Mujhse chura liya
Behtar he hua hum juda ho gye
Befikre tere sehar aya karunga
Youh toh asaan nahi hai safar
Tmhare bina phir bhi
Teri yaadon k sahare kaam
Chalaya karunga
Baat jab tmhari kahi hogi
Toh mai chup sa ho jaya krunga
Nam ankhon se thoda
Dil ko samjhaya karunga
Toot kar muskura deta hoon
Aesa besharam hoon mai
Waqt lagta hai thoda sambhalne mein
yadon ki giraft se nikalne mein
Youh toh abhi tak koi bhaya nahi
Ansuyo ko ankhein ab bhaa si gyee hai
Koi poochta hai mujhse khata kya hui
Toh mai chup sa ho jaya karta hoon !!